Maha shivaratri











HEADLINES:  

Mahashivaratri Poems

Maha Shivratri, the night of the worship of Lord Shiva, occurs on the 14th night of the new moon during the dark half of the month of Phalguna .Shivratri (Sanskrit 'ratri' = night) is the night when he is said to have performed the Tandava Nritya or the dance of primordial creation, preservation and destruction. The festival is observed for one day and one night only.

Jai Shiv Shankar

Jai Shiv Shankar
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar
Kasht haro Swami humaar, Swami kash haro humaar
Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka
He mere Bholenath, yehi vinti karta hun swaminath
Kya maya hai kya nahi, main agyaani nahi jaanu
Mere Swami main to aapko sarvasv maanu
Apna sewak bana lo bhagwan, main na chahun ye sansar
Main aur meri ardhangni, sewa karen aapki aur maa parvati ki
Is Sansar se humein mukt kar, apne charanon mein jagah den
Yehi vinti karta hun swaminaath , yehi prarthna karta hun
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar
Sharan mein apni le ke Bhagwan, mauka do apni sewa ka
Jai Shiv Shankar, Swami Jai Shiv Shankar

Sivaratri

Karle Bande Yeh Subh Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Karle Bande Yeh Subh Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Shiv Ayenge Teri Kaam

Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya

Khud Ko Raakh Lapete Phirte
Auro Ko Dete Dhaan Dhaam
Khud Ko Rakh Lapete Phirte
Auro Ko Dete Dhaan Dhaam
Devo Ke Hith Vish Pee Dala
Neil Kant Ko Koti Pranaam
Neil Kant Ko Koti Pranaam

Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Shiv Ayenge Tere Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Karle Bande Yeh Subh Kaam

Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya

Shiv Ke Charano Mei Milte Hai
Saare Tiraath Charo Dhaam
Shiv Ke Charano Mei Milte Hai
Saare Tiraath Charo Dhaam
Karni Ka Sukh Tere Haatho
Shiv Ke Haatho Mei Parinaam
Shiv Ke Haatho Mei Parinaa

Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Shiv Ayenge Tere Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Karle Bande Yeh Subh Kaam

Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya

Shiv Ke Rahete Kaise Chinta
Saath Rahe Prabhu Aatho Yam
Shiv Ke Rahete Kaise Chinta
Saath Rahe Prabhu Aatho Yam
Shiv Ko Bhajle Such Payega
Maan Ko Ayega Araam

Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Shiv Ayenge Tere Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Karle Bande Yeh Subh Kaam
Subaha Subaha Le Shiv Ka Naam
Shiv Ayenge Teri Kaam

Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya
Aum Namo Shivaya

Album: Shiva Mahima